Indian Style White Sauce Pasta (Quick Hindi Recipe In 4 Steps)
Rich, creamy, silky & smooth white sauce pasta! Umm… Mu me pani aa gya. White sauce pasta jitna dikhne me silky smooth aur colorful hota hai, utna hi khane me bhi aromatic and flavourful hota hai.
Bacche ho ya bade, ye sabhi ke dilo par raz karta hai. Waise to apne bahut bar kisi na kisi hotel ya restaurant ka pasta khaya hi hoga. Lekin aaj hum ye creamy aur saucy Indian style white sauce pasta recipe ghar par hi banayenge.
Ingredients of White Sauce Pasta Recipe


Matar (Peas)
Gajar (Carrot)
Shimla Mirch (Capsicum)
Tamatar (Tomato)
French Beans
Broccoli
Lehsun (Garlic)
Oregano
Maida
Namak
Kali Mirch (Black Pepper)
Fresh Cream
Method (How to make White Sauce Pasta at Home)
Ghar par White Sauce Pasta banane ke liye sabse pehle ek kadai me pani garam kare aur ubal aane par isme pasta add kare. Ab isme oil aur namak dalkar pasta boil kar le.
Ek kadai me butter/ghee garam kare aur isme lehsun bhun le. Ab isme sabse pehle hard vegetables jaise gajar, matar, aur beans add kare. In sabziyon ko thoda paka le. Dhyan rakhe ki hamne in sabziyon ko lagbhag 60% hi cook karna hai, taki sabziyon ka crunch bana rahe.
Iske bad isme broccoli, capsicum aur tomato dalkar 2 minute tak paka le. Ab isme namak aur kali mirch add kare. Sabziyon ko 2 minute tak dhak kar pakaye aur gas off kar de.
White Sauce banane ke liye sabse pehle ek pan me 3 tablespoon butter garam kare. Ab isme 3 tablespoon maida add kare. Dhyan rakhe ki apne butter aur maida same ratio me hi lena hai, isse apki white sauce ekdum perfect banegi.
Ab maida ko lagatar chalate hue 3-4 minute tak paka le. Dhyan rahe ki hamne iska colour brown nahi karna hai, isiliye ise lower to medium aanch par hi pakaye. Ab isme Doodh add kare aur ise gada hone tak paka le. Ab isme namak, kali mirch aur oregano dalkar 2 minute tak paka le. Hamari white sauce taiyar hai.
Ab saute ki hui sari sabziyon ko white sauce me mix kar le aur isme pasta add karke 2 minute tak paka le. Ab isme oregano add kare. Delicious White sauce pasta ready hai. Ise garma-garam serve kare.
White Sauce Pasta In 4 Simple Steps (Photos Ke Sath)
Step 1. To Boil Pasta
- Pasta boil karne ke liye sabse pehle ek pan me pani garam kare aur ek ubal aane ke bad isme namak aur oil dalkar pasta boil kar le.

2. Ab boiled pasta ka pani strain kar de aur isme thanda pani dal de, taki pasta aapas me na chipke.

Step 2. Prepare Vegetables
- Ek pan me ghee garam kare aur isme lehsun bhun le. Ab isme pehle gajar, matar aur beans ko soft hone tak paka le.

2. Ab baki sabhi sabziyon ko bhi namak aur kali mirch dalkar 60% tak paka le.

Step 3. Prepare White Sauce
White sauce banane ke liye ek pan me 3 tsp butter garam kar le aur isme 3 tsp maida dalkar dheeme aanch par lagatar chalate hue bhun le.

2. Ab isme thoda-thoda doodh add kare aur gada hone tak medium aanch par lagatar chalate rahe.

3. Doodh gada ho jane par isme namak, kali mirch, oregano dalkar 2 minute tak pakaye aur phir gas off kar de.

Step 4. Prepare White Sauce Pasta
- White sauce me saute ki hui sabhi sabziyon ko add kare.

2. Ab isme boiled pasta add karke 2 minute tak paka le.

3. Taiyar white sauce pasta me thoda oregano dalkar garam-garam serve kare.

Pro Tips
- White sauce thandi hone par bahut thick ho jati hai, isliye iski consistency thodi patli rakhe.
- White sauce pasta ko cheese banane ke liye aap step 2 me thoda graded cheese add kar sakte hai.
- White sauce pasta ko garam-garam serve kare.
- Maida ko dheeme aanch par hi bhune, tez aanch par iska rang brown ho jayega.
- Bacchon ko healthy khilane ke liye aap isme whole wheat pasta ya suji pasta ka istemal kar sakte hai.
- Agar aapki white sauce jyada gadi ho gayi hai, to ise patla karne ke liye aap isme thoda doodh ya pani dalkar garam kar sakte hai.
White sauce pasta recipe me white sauce is recipe ki backbone hoti hai. Isiliye is recipe me white sauce ko ekdum perfect tarike se banana bahut hi zaroori hota hai. Iske liye kuch khas baaton ka dhyan rakhna chahiye jaise ki:
- Butter aur maide ka ratio
- Maide ko dheeme aanch par
- White sauce banane ka proper method follow karna.
To dekha aapne white sauce pasta banane ka ekdum aasan tarika. Yadi aap bhi isi method ko follow karke pasta banayege, to yakeen maniye aapka pasta bhi bahut hi tasty aur mouth watering banega.
Isi ke sath hi aap meri dusri recipies jaise Instant til mawa roll, Gajar ka halwa, Mixed vegetable soup etc. ko bhi follow kar sakte hai, jo apke liye ekdum aasan tarike se banayi gayi hai.
Also Try: Delicious Gajar Ki Kheer Recipe, Methi Gond Ladoo Recipe, Hotel jaisi Cheese Chilly recipe and Chole Bhature Recipe in hindi.