Zero Calorie Mixed Vegetable Soup (Hindi Recipe)

Sardi ki thand aur garma-garam soup! Sardi ke mausam me agar khane se pehle garam soup mil jaye, to maza hi aa jaye.
Apko yeh jankar aur bhi khushi hogi ki ab aap ye tasty aur nutritious Mixed Vegetable Soup jhatpat ghar par hi bana sakte hain.
To aaiye banate hain Restaurant Style Mixed Vegetable Soup, jo apko healthy rakhne ke sath hi aapki weight loss journey me bhi help karega.
Isme aap apni pasand aur availability ke anusar koi bhi sabzi dal sakte hain. To banate hain Aasan Mixed Veg. Soup Recipe (photos ke sath)
Ingredients of Mixed Veg Soup

Roughly Chopped Vegetables
Pyaj (Onion)
Tamatar (Tomato)
Gajar (Carrot)
Fool Gobhi (Cauliflower)
Chukandar (Beetroot)
Broccoli
Mushroom
Lehsun (Garlic) – 4
Sabut Kali Mirch (Black Pepper) – 4
Tez Patta (Bay Leaf) – 2
Namak (Salt) – According to Taste
Pani (Water) – According to consistency
Watch Video Recipe
Method of making Mixed Vegetable Soup (Hindi Recipe)
Mixed Vegetable Soup banane ke liye sabse pehle cooker me bina ghee ya oil ke tez patta aur kali mirch ko bhun le. Ab mushroom ko chorkar baki sabhi sabziya bhi cooker me dal de.
Isme jarurat ke anusar pani dale aur 2 whistle aane tak pressure cook kare. Cooker thanda hone par, sabziyon ko pani se alag kar le.
Soup ko creamy texture dene ke liye blended vegetable pulp ko chhan le. Iske baad is vegetable pulp ko vapis vegetable stocks me dal de.
Ab soup me mushroom aur namak dalkar 4-5 minute tal ubalne de. Taiyar Mixed Vegetable Soup ko garma-garam serve kare.
Step by Step photos of making nutritious soup
Step1. Pressure cooker me bina ghee dale, tez patta aur kali mirch bhun le.

Step2. Ab isme mushroom ke alawa baki sabhi kati hui sabziya aur pani dale.

Step3. Do whistle aane tak sabziyon ko pressure cook kare.

Step4. Cooker thanda hone par sabziyon ko pani se nikal kar mixi me grind kar le.

Step5. Ab in sabziyo ko chhan kar vapis vegetable stocks (pani) me dal de.

Step6. Ab isme mushroom aur namak aad kare aur 4-5 minute tak ubalne de.

Step7. Taiyar Mixed Vegetable Soup ko garma-garam serve kare.

Pro Tips to enhance the taste
- Mixed Vegetable Soup ko aur jyada tasty banane ke liye isme apni pasand ki koi bhi sabzi dal sakte hain.
- Yadi apko gada soup pasand hai, to step 6 me 1 tablespoon corn flour & ½ cup pani ka ghol banakar dale aur 5 minute tak paka le.
- Aap corn flaur Ki jagah boiled potato bhi add kar sakte hain.
- Soup ko tangy flavour dene ke liye isme lemon juice add kare.
- Garnishing ke liye aap graded cheese bhi add kar sakte hain.
Health Benefits of Mixed Vegetable Soup
- Sardi me ye soup aapko warm rakhta hai.
- Weight loss me helpful hota hai.
- Digestion ko improve karta hai.
- Nutrients ka power pack hota hai.
- Body ki Healing power increase karta hai.
Asha karti hu aapko meri ye Mixed Vegetable Soup Recipe zaroor pasand aayi hogi. Is soup ko aap Sweet Corn Soup ki tarah as a starter ya evening snack me bhi serve kar sakte hain.
To aap bhi ye mixed vegetable soup ghar par zaroor try kare aur apni family aur bacchon ko ye nutritious soup taste karwaye.
Sardi ke mausam me garam soup ke alawa aap Gajar ki Kheer or Gond laddoo(Pinni) bhi zaroor khaye , jo aapko thand me garmahat degi.
Aap meri other recipes bhi try kar sakte hain
Dal Makhani in 9 easy steps, Hotel jaisi Cheese Chilli, Special Kadi Pakora, Chole Bhature Recipe in Hindi, 2 minute me Tandoori Roti, Punjabi style Ghiya Dal Chana Recipe, etc.