Methi Gond Ladoo (pinni) Recipe in 10 easy steps

Methi Gond ladoo Recipe ek paramparik recipe hai, jiska sewan sardi ke mausam me mithai se jyada ek aushadhi ke roop me kiya jata hai.
Gond ki taseer bahut hi garam hoti hai, jo thand ke dino me shareer me garmi paida karti hai. Is prakar ye shareer ko energy dene ke sath haddiyon ko bhi majboot banati hai.
Methi me bharpur matra me Protein, Iron, Calcium, Magnesium, Zink, Fibre aur Anti Oxidant gun paye jate hai. Ye Arthritis, Diabetes aur Blood Pressure ko control karti hai.
Isiliye Methi Gond ladoo khane se sabhi tarah ke dard ki samasya dur ho jati hai. Yeh dadi-nani ke samay se azmai ja rahi ek aisi recipe hai, jo baccho aur budo ke sath-sath ek nayi maa ke liye bhi bahut faydemand hoti hai.
Sabhi logo ko ye ladoo bahut pasand aate hai, par lagbhag sabhi ki ek hi shikayat hoti hai ki ye methi Gond ke ladoo aksar swad me karwe hote hai.
Lekin yadi aap mere is tarike se Methi Gond Ladoo (recipe in hindi) banayege to ye bilkul bhi karwe nahi banege. To chaliye Banana shuru karte hai Gond ke ladoo 10 aasan steps me.
Ingredients of Methi Gond Ladoo Recipe

Gond – 100 gm
Gehu ka aata – 150 gm
Gur – Swadanusar
Methidana 100 gm
Desi Ghee – Jarurat Anusar
Dry Coconut(crushed) – 1cup
Video Recipe of Pinni (Methi Gond Ladoo)
Instructions
Methi Gond ladoo banane ke liye sabse pehle methidana ko pees kar 3-4 ghante ke liye doodh me bhigo de. Ab ek kadai me 2 tablespoon ghee garam kar le aur bheege hue methidana ko medium flame par 3-4 minute tak bhun le.
Ab is kadai me 2 tablespoon ghee le aur isme Gond fry kar le. Ab isi ghee me kaju aur badam ko bhi halka sa bhun le. Kadai me thoda ghee aur dale aur isme aata dalkar dark brown hone tak bhun le.
Ab gas band kar de aur bhuna hua methidana is aate me mix kar le. Ab fry ki hui gond ko kisi belan ya bartan ki help se thoda crush kar le aur is mishran me add kar le. Ab isme nuts aur coconut powder bhi add kar le.
Gur ki chashni banane ke liye ek (bhari tale ke ) pan me 2 tsp ghee garam kare aur isme gur dal de. Ise lagatar chalate rahe. Aap dekhenge ki Gur melt hokar chashni jaisa patla ho jayega.
Ab ise bhi aate wale mishran me add kar le aur pure mishran ko acche se mix kar le. Thoda thanda hone par apni pasand ke aakar me ladoo taiyar kar le.
Swadisht aur healthy methi gond ladoo bankar taiyar hai. Ye aapki immunity badhane ke sath-sath wajan kam karne me bhi help karenge.
Methi Gond Ladoo in 10 easy steps
Step 1. Methidana ko pees kar 3-4 ghante ke liye doodh me bhigo de.

Step 2. Ek kadai me ghee garam karke methidana bhun le aur kisi bowl me shift kar de.

Step 3. Ab gond ko deep fry kare aur thanda hone par kisi bartan ki help se crush kar le.

Step 4. Isi ghee me nuts (kaju aur badam) ko bhi halka fry kar le.

Step 5. Ab aate ko bhi dark brown hone tak ghee me bhun le.

Step 6. Atta bhun jane par isme methidana mishran mix kare.

Step 7. Ek pan me ghee garam kare aur gur dalkar melt hone tak lagatar chalate rahe.

Step 8. Ab aate wale mishran me crushed gond, nuts aur 1 cup coconut powder mix kare.

Step 9. Gur ki chashni taiyar hone par ise bhi mishran me add kare aur pure mishran ko mix kar le.

Step 10. Thanda hone par man chahe aakar ke ladoo bana le.

To dekha aapne Gond ke laddu (Gond ki Pinni) kaise banate hai.
Special Tips
- Methidana ka karwapan dur karne ke liye kam se kam 3-4 ghante doodh me jaroor bhigoye.
- Gond ko tez garam ghee me chote-chote batch me fry kare, taki gond aapas me chipke nahi.
- Ladoo banate samay mishran ko puri tarah se thanda na kare, halke garam mishran me ye aasani se ban pate hain.
- Yadi aapko methidana ka taste pasand nahi hai to aap ise bina methidane ke bhi bana sakte hai.
Benefits Of Gond Ladoo
- Fibre, Iron aur Vitamin A,D se bharpur hone ke karan Belly fat ko kam karne me madad karta hai.
- Methi Gond ladoo apki craving ko control karke pait ki charbi ko pighlata hai.
- Arthritis, Diabetes, Cholesterol aur B.P jaisi bimariyon me kargar hai.
- Kamar aur joro ke dard ka rambaan ilaaj hai ye ladoo.
- Ek Nayi maa ke liye ye bahut hi labhdayak aur swasthya wardhak hai methi gond ladoo.
- Pregnant women aur old ages ke liye bahut faydemand hota hai.
- Methi Gond ladoo hamare Jodo ko lubricant pradan karte hai.
- Hamari Bones ko strong banata hai.
To dekha apne methi gond ladoo itne guno se bharpur hai ki choto se lekar bado tak har kisi ke liye iske apne alag hi fayde hain. To aap bhi is sardi meri ye recipe zaroor try kare aur apne parivar ko swad ke sath-sath sehat or garmahat ka tohfa de.
Iske alawa maine aapke liye aur bhi kai recipies share ki hai, jaise ki Dal Makhani in 9 easy steps, Hotel jaisi Cheese Chilli ghar par, Chole Bhature Recipe in hindi aur Delicious Aam Papad Recipe. Inhe bhi aap ghar par try kar sakte hain.
Aur ha mujhe comment kar ke zaroor batayen ki aapko meri ye recipies kaisi lagi. Agar aapke koi sujhav ya queries hai to wo bhi share karna na bhule. Dhanyawad!