CHOLE BHATURE RECIPE IN HINDI

Chole Bhature bahut hi swadisht aur lajawab vyanjan hai. Chole bhature Recipe ke shokeen log ise ungliya chat chat kar khate hai. Chole Bhature Uttar Bharat me bahut hi prasiddh hai. India ke logo ke sath sath ye videshi logo ko bhi bahut pasand aate hai.
Apne kai hotel aur restaurant me Chole Bhature ka swad chakha hoga, lekin agar aap chahe to aap thode samay me ise ghar par hi bana sakte hai. Aaj ham aapke liye laaye hai Chole Bhature Recipe in Hindi, jo samajne me bahut hi simple aur aasan hai.
Ingredients for Chole Bhature Recipe
To aaiye dekhte hai restaurant style Chole Bhature banane ke liye hame kya kya samagri chahiye
BHATURE KE LIYE | CHOLE KE LIYE |
MAIDA – ½ kg | GHEE – 2 Tablespoon |
SOOJI – 1 bowl | TEJ PATTA – 1 |
NAMAK – Swadanusar | SABUT KALI MIRCH – 4-5 |
AJWAIN – Chutki bhar | LEHSUN – 4 Kali |
CHINI – ½ teaspoon | ADRAK – Ek Chota Tukra |
DAHI – I bowl | TAMATAR – 3 Medium Size |
SODA WATER | PYAJ – 2 Medium Size |
NAMAK – Swadanusar | |
LAL MIRCH POWDER – ½ Teaspoon | |
DHANIYA POWDER – ½ Teaspoon | |
KASHMIRI LAL MIRCH POWDER – ½ Teaspoon | |
MDH CHANA MASALA – 1 Teaspoon |
METHOD OF MAKING CHOLE BHATURE
Chole Bhatur recipe me sabse pehle Bhature ka aata gunth le. Jiske liye maida, sooji, namak, ajwain aur dahi ko ek bowl me mix kar le aur soda water ki help se iska aata guth le. Lagbhag aadhe ghante ke liye ise aise hi rehne de. Ab Bhature ko patla bel le. Ek kadai me tel garam kare aur tej aanch par bhature bana le.
Ab Chole banane ke liye ek lohe ki kadai le. Lohe ki kadai me chole banane se sabzi ka rang bahut acha aata hai. Ab kadai me ghee dalkar garam kare. Ghee garam hone par isme Jeera, Tej patta aur Kali mirch dale. Ab isme Adrak, Lehsun, Tamatar, Pyaj ki paste dale. Ab isme namak mirch aur dhaniya powder aur MDH chana masala daale. Masalo ko achi tarah bhunne ke baad inme uble hue Chole mix kar de. Gravy ke liye jarurat ke anusar pani dale. Ek ubal aane ke baad ise 5-10 minute ke liye dheeme aanch par pakaye. To lijiye aap ke chole bhi taiyar hai.
EASY STEPS FOR CHOLE BHATURE RECIPE
STEP 1 :- Punjabi Chole Bature banane Ke liye sabse pehle Chole ko raat bhar bhigo kar rakh de.

STEP 2 :- Subha iska pani nikal de aur saaf pani dal kar 4-5 whistle aane tak pressure cook kare.

STEP 3 :- Chole ka Tadka banane ke liye, kadai me ghee garam kare. Ab isme jeera, tej patta aur sabut kali mirch dale.

STEP 4 :- Ab isme tamatar, pyaj, adrak, lehsun ka paste dale.

STEP 5 :- Masale bhun jane par isme sabhi sukhe masale jaise namak, miech, dhaniya powder aur MDh masala dale.

STEP 6 :- Jb sabhi masale ghee chor de, to usme uble hue chole mix kare.

STEP 7 :- Gravy banane ke liye isme jarurat anusar pani daale. Ek ubaal aane ke bad, ise 5-10 minute dheeme aanch par paka le.

STEP 8 :- Apke tasty chole taiyar hai.

STEP 9 :- Ab Bhature ka aata guthne ke liye maida, sooji, namak, ajwain aur dahi ko ek bartan me dal de aur soda water se aata guth le.

STEP 10 :- Bhature ke aate ko lagbhag 30 minutes ke liye rakh de.

STEP 11 :- Ab bhature ka aata lekar belan ki help se bhatura bel le. Ab ek kadai me oil garam kare aur bhature bna le.

STEP 12 :- To lijiye garma garam aur fule hue bhature serving ke liye taiyar hai.

STEP 13 :- Delicious Chole Bhature ko aap chatni, pyaj or hari mirch ke sath garma garam serve kare.

CHOLE BHATURE KO BANAYE AUR BHI SWADISHT
- Chole Bhature ko aur bhi swadisht aur jaykedar banane ke liye aap uske sath apni pasand ka achar, chatni aur salad bhi serve kar sakte hai. Isse aapko ek naya jayka milega.
- Bhature aur bhi kurkure banane ke liye aap kadai ki aanch ko dheema rakh le, jisse aap ke Bhature aur bhi kurkure aur tasty banege.
- Bhature serve kate samay aap Chole ke upper barik kata pyaj , dhaniya aur kisi hui muli daale, jisse inka swad aur bhi nikhar jayega.
Chole Bhature ek bahut hi Tasty, Spicy aur Heavy dish hai. Chole Bhature ka swad bahut hi chatpata, swadisht, naram aur kurkura hota hai. To ab aap is Punjabi Chole Bhature Recipe ko apni hi rasoi me bana kar iske badhiya swad ka maza le sakte hai aur sabko khush kar sakte hai.
Asha karti hu ki aapko meri ye recipe pasand aai hogi. To comment karke jarur bataye ki aapko ye recipe kaisi lagi. Agar apki koi query hai to bhi use comment section me jarur dale. Sath hi meri dusri recipes jaise Ghiya dal Chana aur Dal Makhani ko bhi try karna na bhule. Inhe aap Tandoori Roti ke sath bhi kha sakte hai. Dhanyawad!!